banner

banner

Tuesday, 21 January 2025

#TaziyatKeAadaab | Sahabiya Ka Amal Aur Shariat-e-Mustafa ﷺ Ki Pabandi

 Yani kuch log aage kehte hain, "Mere rishtedaar bade bure hain, toh main bada dukhi hoon." Is mein dukhi hone wali kaunsi baat hai? Nabi Pak ﷺ ne farmaya, "Kamzor baatein na karna, ke koi mere saath neki karega toh main karunga." Farmaya, "Jo tum se tode, tum us se jodo. Rishtedaar agar aap se acha sulook nahi karte, toh yeh dukh wali baat nahi. Dukh wali baat yeh hai agar aap acha sulook nahi karte, toh phir dukhi hona chahiye.

#TaziyatKeAadaab | Sahabiya Ka Amal Aur Shariat-e-Mustafa ﷺ Ki Pabandi

 Ek sahabiya Nabi Pak ﷺ ki sahabi thi, unke bhai ka inteqal ho gaya tha. Behan aur bhai ke pyaar ka koi shakhs andaza kar sakta hai. Bhai, saga bhai chala gaya. Teesre din uth ke, teen din mukammal huye toh uth ke us khatoon ne khushboo lagai aur naya libaas pehna. Logon ne kaha, "Janab, yeh aapne kya kiya?" Farmane lagi, "Mujhe koi zarurat nahi thi, mujhe kahin jana nahi tha, goya koi taqreeb nahi thi ke main naya libaas pehnti ya khushboo lagati. Lekin chunke Huzoor ﷺ ne farmaya hai ke taaziya sirf teen din hai, is liye apne Mehboob ﷺ ki shariat ka nikhra hua chehra logon ke samne pesh karne ke liye maine teen din se zyada soug karne se inkaar kar diya hai."

#HuzoorKaChehra | Hazrat Abdullah Ibn-e-Rawaha (RA) Ke Alfaaz | Nabi-e-Pak (SAW) Ka Husn

 

Huzoor ka chehra aisa haseen tha ke Hazrat Abdullah Ibn-e-Rawaha (RA) farmane lage: Nabi-e-Pak koi aur mojza na bhi dikhate—na doobtay hue sooraj ko huzoor dobara lautate, na chaand ke do tukde hote, na darakht sajda karte, na pathar kalma parte. Na huzoor ke qadam ke neeche paad mom hote, koi mojza bhi huzoor na dikhate. Hazrat Abdullah Ibn-e-Rawaha (RA) farmate hain, Ma'bood ka chehra aisa tha ke logon ne dekhte jaana tha aur kalma parte jaana tha.

#BaapKaKirdar | Aulaad Ki Hifazat Ka Qurani Raaz | Taqwa Aur Parhezgari Ki Ahmiyat

Sun lo aur yaad rakhna, Allah ki kitaab ka faisla yeh hai: agar aap chahte hain ke mere bachay mere baad kisi pareshaani ka shikaar na hon, toh is ke liye baap ka ameer hona zaroori nahi, baap ka nek hona zaroori hai. Aap yeh samajhte hain ke main bohot zyada bank balance chhod ke jaunga toh peeche meri aulaad asoodah zindagi guzaregi. Main bohot saari zameen aur jaidad chhod jaunga toh yeh khushhal waqt guzarenge, inhein koi takleef nahi aayegi? Aisa nahi hai! Quran majeed ka yeh faisla hai ke aapke peeche, aapke maal, aapki jaan, aur aapki aulaad ki hifazat tab hoti hai jab aap taqwa chhod ke jaate hain, parhezgari chhod ke jaate hain, aur nek naami chhod ke jaate hain.