Ek sahabiya Nabi Pak ﷺ ki sahabi thi, unke bhai ka inteqal ho gaya tha. Behan aur bhai ke pyaar ka koi shakhs andaza kar sakta hai. Bhai, saga bhai chala gaya. Teesre din uth ke, teen din mukammal huye toh uth ke us khatoon ne khushboo lagai aur naya libaas pehna. Logon ne kaha, "Janab, yeh aapne kya kiya?" Farmane lagi, "Mujhe koi zarurat nahi thi, mujhe kahin jana nahi tha, goya koi taqreeb nahi thi ke main naya libaas pehnti ya khushboo lagati. Lekin chunke Huzoor ﷺ ne farmaya hai ke taaziya sirf teen din hai, is liye apne Mehboob ﷺ ki shariat ka nikhra hua chehra logon ke samne pesh karne ke liye maine teen din se zyada soug karne se inkaar kar diya hai."
No comments:
Post a Comment