Sun lo aur yaad rakhna, Allah ki kitaab ka faisla yeh hai: agar aap chahte hain ke mere bachay mere baad kisi pareshaani ka shikaar na hon, toh is ke liye baap ka ameer hona zaroori nahi, baap ka nek hona zaroori hai. Aap yeh samajhte hain ke main bohot zyada bank balance chhod ke jaunga toh peeche meri aulaad asoodah zindagi guzaregi. Main bohot saari zameen aur jaidad chhod jaunga toh yeh khushhal waqt guzarenge, inhein koi takleef nahi aayegi? Aisa nahi hai! Quran majeed ka yeh faisla hai ke aapke peeche, aapke maal, aapki jaan, aur aapki aulaad ki hifazat tab hoti hai jab aap taqwa chhod ke jaate hain, parhezgari chhod ke jaate hain, aur nek naami chhod ke jaate hain.
No comments:
Post a Comment